اردو हिंदी
Hai mere pahlu mein aur mujhko nazar aata nahin | Shaahi Shayari
hai mere pahlu mein aur mujhko nazar aata nahin

Ghazal

Hai mere pahlu mein aur mujhko nazar aata nahin

Waliullah Muhib

;

hai mere pahlu mein aur mujh ko nazar aata nahin
is pari ka sehr yaro kuchh kaha jata nahin

ashk ki barish mein dil se gham nikal aata nahin
ghar se bahar meinh barasne mein koi jata nahin

chaak-e-jeb apne ko main bhi jun gareban-e-sahar
naseha ta-daman-e-mahshar tu silwata nahin

shama san rishte par ulfat ke laga dete hain sar
aashiq aur mashuq sa bhi dusra nata nahin

bas-ki tere hijr mein hai na-gawara akl-o-sharb
dil ba-juz KHun-e-jigar ai jaan kuchh khata nahin

main hi tum sab ka bana tir-e-malamat ka nishan
us but-e-sarkash ko yaro koi samjhata nahin

wae ye ghaflat ki dariya bich qatre ki tarah
aap hi mein aap ko DhunDun hun aur pata nahin

tark-e-ishq us sarw-e-baala ka kiya hai jab se dil
aalam-e-baala se baalai KHabar lata nahin

bas-ki hai ham-rang washud se 'muhib' us bagh mein
dil ko ghair-az-ghuncha-e-taswir kuchh bhata nahin