hai mere sar se koi bojh utarne wala
pukarta hai ye har-dam pukarne wala
phira hai yun wo ruKH-e-aina-numa mujh se
koi nahin meri surat sanwarne wala
bana hun sina-e-dariya ka bojh muddat se
koi raha hi nahin par utarne wala
badalti jati hai haalat zamin ke chehre ki
ki aasman hai naya rup dhaarne wala
utar kai kargah-e-fan mein fath-yab hua
bisat-e-dahr pe har-ros haarne wala
main apne ahd ka sanna-e-shahr hun 'zahid'
mera qalam hai nae naqsh ubhaarne wala
Ghazal
Hai mere sar se koi bojh utarne wala
Zahid Farani