hai mere gird yaqinan kahin hisar sa kuchh
aur us ko bhi hai duaon pe e'tibar sa kuchh
kahin to gosha-e-dil mein ummid baqi hai
kahin hai us ki nazar mein bhi intizar sa kuchh
kaha jab us ne ke aankhon pe e'tibar na kar
to main ne mang liya dil pe iKHtiyar sa kuchh
ye sara khel faqat gardishon ka hai aahang
fuzul DhunD rahe ho yahan qarar sa kuchh
jo le ke aaya tha sailab KHushbuon ka kabhi
wo bhar gaya hai meri aankh mein ghubar sa kuchh
utar chuka hai badan se tamam nasha-e-wasl
chaDha chaDha sa tabiat pe hai KHumar sa kuchh
suna hai ye bhi buzurgi ki ek alamat hai
so main bhi hone laga 'taj' KHaksar sa kuchh
Ghazal
Hai mere gird yaqinan kahin hisar sa kuchh
Husain Taj Rizvi