hai mashq-e-suKHan jari chakki ki mashaqqat bhi
ek turfa tamasha hai 'hasrat' ki tabiat bhi
jo chaho saza de lo tum aur bhi khul khelo
par hum se qasam le lo ki ho jo shikayat bhi
dushwar hai rindon par inkar-e-karam yaksar
ai saqi-e-jaan-parwar kuchh lutf-o-inayat bhi
dil bas-ki hai diwana us husn-e-gulabi ka
rangin hai usi ru se shayad gham-e-furqat bhi
KHud ishq ki gustaKHi sab tujh ko sikha degi
ai husn-e-haya-parwar shoKHi bhi shararat bhi
barsat ke aate hi tauba na rahi baqi
baadal jo nazar aae badli meri niyat bhi
ushshaq ke dil nazuk us shoKH ki KHu nazuk
nazuk isi nisbat se hai kar-e-mohabbat bhi
rakhte hain mere dil par kyun tohmat-e-betabi
yan nala-e-muztar ki jab mujh mein ho quwwat bhi
ai shauq ki bebaki wo kya teri KHwahish thi
jis par unhen ghussa hai inkar bhi hairat bhi
har-chand hai dil shaida hurriyat-e-kaamil ka
manzur-e-dua lekin hai qaid-e-mohabbat bhi
hain 'shad' o 'safi' shair ya 'shauq' o 'wafa' 'hasrat'
phir 'zamin' o 'mahshar' hain 'iqbaal' bhi 'wahshat' bhi
Ghazal
Hai mashq-e-suKHan jari chakki ki mashaqqat bhi
Hasrat Mohani