اردو हिंदी
Hai mah ki aaftab kya hai | Shaahi Shayari
hai mah ki aaftab kya hai

Ghazal

Hai mah ki aaftab kya hai

Mushafi Ghulam Hamdani

;

hai mah ki aaftab kya hai
dekho to tah-e-naqab kya hai

main ne tujhe tu ne mujh ko dekha
ab mujh se tujhe hijab kya hai

aae ho to koi dam to baiTho
ai qibla ye iztirab kya hai

us bin hamein jagte hi guzri
jaana bhi na ye ki KHwab kya hai

mujh ko bhi gine wo aashiqon mein
is baat ka so hisab kya hai

sipara-e-dil ko dekh us ne
puchha bhi na ye kitab kya hai

is mai-kada-e-jahan mein yaro
mujh sa bhi koi KHarab kya hai

qismat mein hamari 'mushafi' hae
kya jaane sawab azab kya hai