hai kyun naql-e-makani ye hawa-e-taza-tar kya hai
samajh mein kuchh nahin aata idhar kya hai udhar kya hai
numud-e-ibtida kya intiha kya hai bashar kya hai
ye kar-e-naqsh-gar kyun hai ye hairat ka safar kya hai
raza us ki to phir chubhta hua ye neshtar kya hai
badan kyun hai hisar-e-KHauf mein aankhon mein Dar kya hai
jo sach puchho ye taswiren kisi ek kaifiyat ki hain
KHarosh-e-naghma-zan kyun hai sada-e-nauha-gar kya hai
na hona bhi hai hona be-makani la-makani hai
sar-e-kohsar ya farsh-e-zamin par hun KHabar kya hai
nahin bujhti shikam ki aag kar-e-be-sukuni mein
sarir-o-taj-o-kishwar kya manal-o-mal-o-zar kya hai
jise na-KHub kahte hain usi ko KHub kahte hain
tamiz-e-KHair-o-shar mein nukta-e-sad-motabar kya hai
pari-timsal hain subhen gariban-chaak hain shamen
talattuf hai ki mahshar jaane tasir-e-nazar kya hai
faqat ek lams jism-o-ruh ko shadab rakhta hai
hunar-mandon se puchho qand-lab mein ye hunar kya hai
hari thin khetiyan murjha gain baad-e-bahaari se
na jaane phul se chehre ka mausam par asar kya hai
dam-e-nazzara us ne chupke chupke khol din zulfen
mera ye puchhna hi tha ki naz-e-bahr-o-bar kya hai
'amin-ashraf' wo rahta hai kahin is shahr mein lekin
mile koi to puchhun surat-e-diwar-o-dar kya hai

Ghazal
Hai kyun naql-e-makani ye hawa-e-taza-tar kya hai
Syed Amin Ashraf