hai kya KHizan mein mumkin sahra mein bagh nikle
zulmat ko jo miTae aisa charagh nikle
shor-e-safir-e-bulbul se gunjta tha kal tak
kyun aaj mere ghar mein rone ko zagh nikle
dagh-e-qamar se aaKHir jab aashna hua main
jitne raqib pae un mein na dagh nikle
Darta tha main na aae waqt-e-firaq mujh par
kuchh wasl se tere ab haul-e-dimagh nikle
ho justuju mein jis ki hai wo mazar kaisa
kya apni qabr ka tum lene suragh nikle
main thak chuka hun 'naqid' targhib-e-zindagi se
chahun ufuq se aaKHir roz-e-faragh nikle
Ghazal
Hai kya KHizan mein mumkin sahra mein bagh nikle
Aditya Pant u0027Naaqidu0027