اردو हिंदी
Hai koi iKHtiyar duniya par | Shaahi Shayari
hai koi iKHtiyar duniya par

Ghazal

Hai koi iKHtiyar duniya par

Zafar Iqbal

;

hai koi iKHtiyar duniya par
na hamein e'tibar duniya par

apna dar-o-madar dil par hai
aap ka inhisar duniya par

jab jhaDa mera aaKHiri patta
aa chuki thi bahaar duniya par

hamla-awar hawa KHuda KHud bhi
is nahif-o-nazar duniya par

jab koi abr jhum kar barsa
chha raha tha ghubar duniya par

Dal rakkhi thi koi KHud us ne
chadar-e-intizar duniya par

sara ilzam dhar diya kaisa
hum ne payan-e-kar duniya par

yun tawaqqo hi bandhna thi ghalat
aisi na-paedar duniya par

hum pe duniya hui sawar 'zafar'
aur hum hain sawar duniya par