hai kis ke liye lutf ghazab kis ke liye hai
ye zabta-e-nam-o-nasab kis ke liye hai
mere liye afsurdagi-e-naKHl-e-tamanna
ye silsila-e-tak-e-tarab kis ke liye hai
sach par jo yaqin hai to use kyun nahin kahte
aaKHir ye zaban mohr-ba-lab kis ke liye hai
hai jis pe mohabbat ki nazar hoga pareshan
ai sana-e-gul hijr ki shab kis ke liye hai
jab dil ko talluq na raha ku-e-sanam se
ye kashmakash-e-tark-o-talab kis ke liye hai
is kar-e-nazar ne kiya taqdir ka qail
shab kis ke liye hasil-e-shab kis ke liye hai
Ghazal
Hai kis ke liye lutf ghazab kis ke liye hai
Syed Amin Ashraf