اردو हिंदी
Hai kis ka intizar khula ghar ka dar bhi hai | Shaahi Shayari
hai kis ka intizar khula ghar ka dar bhi hai

Ghazal

Hai kis ka intizar khula ghar ka dar bhi hai

Tariq Butt

;

hai kis ka intizar khula ghar ka dar bhi hai
aur jalta ek charagh sar-e-rah-guzar bhi hai

har lamha ghar ko lauT ke jaane ka bhi KHayal
har lamha is KHayal se dil ko hazar bhi hai

tanhaiyan pukarti rahti hain aao aao
ai bekasi bata kahin in se mafar bhi hai

kis tarah kaTi kaise guzari tamam umr
wo mil gaya to aise sawalon ka Dar bhi hai

kyunkar na zindagi mein rahe wahshaton se kaam
har lahza jab guman ho koi baam par bhi hai