اردو हिंदी
Hai KHirad-mandi yahi ba-hosh diwana rahe | Shaahi Shayari
hai KHirad-mandi yahi ba-hosh diwana rahe

Ghazal

Hai KHirad-mandi yahi ba-hosh diwana rahe

Behzad Lakhnavi

;

hai KHirad-mandi yahi ba-hosh diwana rahe
hai wahi apna ki jo apne se begana rahe

kufr se ye iltijaen kar raha hun bar bar
jaun to kaba magar ruKH su-e-mai-KHana rahe

sham-e-sozan kuchh KHabar bhi hai tujhe o mast-e-gham
husn-e-mahfil hai jabhi jab tak ki parwana rahe

zaKHm-e-dil ai zaKHm-e-dil nasur kyun banta nahin
lutf to jab hai ki afsane mein afsana rahe

hum ko waiz ka bhi dil rakhna hai saqi ka bhi dil
hum to tauba kar ke bhi paband-e-maiKHana rahe

aaKHirash kab tak rahengi husn ki nadaniyan
husn se puchho ki kab tak ishq diwana rahe

faiz-e-rah-e-ishq hai ya faiz-e-jazb-e-ishq hai
hum to manzil pa ke bhi manzil se begana rahe

mai-kade mein hum duaen kar rahe hain bar bar
is taraf bhi chashm-e-mast-e-pir-e-mai-KHana rahe

aaj to saqi se ye 'bahzad' ne bandha hai ahd
lab pe tauba ho magar hathon mein paimana rahe