hai KHamoshi-e-intizar bala
ast hai ek chup hazar bala
dekh le ek nazar ki hai manzur
sad-tabahi o sad-hazar bala
dilbari par hai jaan-faza be-dad
dil-dahi par hai jaan-nisar bala
hijr mein aasman mudarai
wasl mein hai satiza-kar bala
kaj-kulahi ka ham-nashin fitna
KHam-e-gesu ki dost-dar bala
aa gai sar pe aaqibat aafat
ho gai chashm-e-intizar bala
hai fida mujh pe aasman goya
war war aai bar bar bala
mujh sa pamal-e-rozgar hai kaun
KHajil aafat hai sharm-sar bala
dagh ka mere dard-kash sadma
dard ki mere raaz-dar bala
sehn-e-gulshan ki sham-e-bazm hai barq
naujawani ki hai bahaar bala
ai 'qalaq' aasare ka kya jina
zindagi hai maal-e-kar bala
Ghazal
Hai KHamoshi-e-intizar bala
Ghulam Maula Qalaq