hai KHamosh aansuon mein bhi nashat-e-kaamrani
koi sun raha hai shayad meri dukh bhari kahani
yahi thartharaate aansu yahi nichi nichi nazren
yahi un ki bhi nishani yahi apni bhi nishani
ye nizam-e-bazm-e-saqi kahin rah sakega baqi
ki KHushi to chand lamhe gham o dard jawedani
hain wajud-e-shai mein pinhan azal o abad ke rishte
yahan kuchh nahin do roza koi shai nahin hai fani
teri baat kya hai waiz mera dil wo hai ki jis ne
isi mai-kade mein aksar meri baat bhi na mani
pai-e-raf-e-bad-gumani main wafa barat raha tha
meri pai-ba-pai wafa se baDhi aur bad-gumani
mera mai-kada salamat ki har ek qaid uTha di
na to dair ki ghulami na haram ki pasbani
karun un se lakh shikwe magar un se shikwa karna
na tariqa-e-mohabbat na riwayat-e-jawani
Ghazal
Hai KHamosh aansuon mein bhi nashat-e-kaamrani
Ali Jawwad Zaidi