hai KHak-basar saba mere baad
gulshan ki phir hawa mere baad
thi ja-e-visal manzil-e-gor
hasil hua muddaa mere baad
ai tap na jalana ustuKHan ko
mayus na ho huma mere baad
qatil ne bahae lash par ashk
tha bas yahi KHun-baha mere baad
yun KHak mein main mila ki us ne
paya na mera pata mere baad
ki dagh ne KHak se tarawish
gul qabr se ye khila mere baad
auron pe karoge jab jafaen
yaad aaegi ye wafa mere baad
go main na raha magas ki surat
shohra to raha mera mere baad
ai gham meri jaan kha chuka tu
kya hogi teri ghiza mere baad
be-jurm kiya jo qatl mujh ko
jallad KHajil hua mere baad
ruTha raha yun to umr bhar wo
turbat se gale laga mere baad
baqi na raha jahan mein 'ajiz'
kuchh lutf zaban ka mere baad
Ghazal
Hai KHak-basar saba mere baad
Peer Sher Mohammad Ajiz