hai kaun kis ki zat ke andar likhenge hum
nahr-e-rawan ko pyas ka manzar likhenge hum
ye sara shahr aala-e-hikmat likhe use
KHanjar agar hai koi to KHanjar likhenge hum
ab tum sipas-nama-e-shamshir likh chuke
ab dastan-e-lasha-e-be-sar likhenge hum
rakkhi hui hai donon ki buniyaad ret par
sahra-e-be-karan ko samundar likhenge hum
is shahr-e-be-charagh ki aandhi na ho udas
tujh ko hawa-e-kucha-e-dil-bar likhenge hum
kya husn un labon mein jo pyase nahin rahe
sukhe hue labon ko gul-e-tar likhenge hum
hum se gunahgar bhi us ne nibha liye
jannat se yun zamin ko behtar likhenge hum

Ghazal
Hai kaun kis ki zat ke andar likhenge hum
Ameer Imam