اردو हिंदी
Hai justuju agar isko idhar bhi aaega | Shaahi Shayari
hai justuju agar isko idhar bhi aaega

Ghazal

Hai justuju agar isko idhar bhi aaega

Iftikhar Naseem

;

hai justuju agar is ko idhar bhi aaega
nikal paDa hai to phir mere ghar bhi aaega

tamam umr kaTegi yunhi sarabon mein
wo samne bhi na hoga nazar bhi aaega

jo gham hua hai nae shahar ke makanon mein
wo dekhne ko kabhi ye khanDar bhi aaega

rachi hai mere badan mein tamam din ki thakan
abhi to raat ka lamba safar bhi aaega

zara si der mein har shai chamak uThegi 'nasim'
sahar hui hai to nur-e-sahar bhi aaega