hai jurm mohabbat to saza kyun nahin dete
yaro hamein ek rose miTa kyun nahin dete
hum rah mein diwar ki manind khaDe hain
diwar ko Thokar se gira kyun nahin dete
maiKHane ke aadab se waqif jo nahin hum
mahfil se hamein apni uTha kyun nahin dete
jab hum ne lagaya tha gale se tumhein apne
us daur ki tariKH bhula kyun nahin dete
mashhur-e-zamana jo hai sachchai hamari
phir tum hamein suli pe chaDha kyun nahin dete
ai rahbaro kaba-o-kashi ko mila kar
maiKHane ki ek rah bana kyun nahin dete
jin logon ko dawa hai masihai ka 'sajid'
wo log hamein zahr pila kyun nahin dete
Ghazal
Hai jurm mohabbat to saza kyun nahin dete
Sajid Siddiqi lakhnavi