اردو हिंदी
Hai jumbish-e-mizhgan mein teri tir ki aawaz | Shaahi Shayari
hai jumbish-e-mizhgan mein teri tir ki aawaz

Ghazal

Hai jumbish-e-mizhgan mein teri tir ki aawaz

Siraj Aurangabadi

;

hai jumbish-e-mizhgan mein teri tir ki aawaz
is tir mein hai said ki takbir ki aawaz

mushtaq hun tujh lab ki fasahat ka wa-lekin
'ranjha' ke nasibon mein kahan hir ki aawaz

tu KHusraw-e-KHuban hai ki le hind sin ta rome
pahunchi hai tere husn-e-jahangir ki aawaz

hairat ke maqamat mein qanun-e-nawa nahin
hai saz-e-KHamoshi lab-e-taswir ki aawaz

diwane kun mat shor-e-junun yaad dilao
hargiz na sunao use zanjir ki aawaz

pita hun judai mein teri ghunT lahu ki
sun ghuncha-dahan aashiq-e-dil-gir ki aawaz

ai jaan-e-'siraj' aa ke patangon ki KHabar liyo
sun jao mere nala-e-shab-gir ki aawaz