hai jo KHamosh but-e-hosh-ruba mere baad
gul khilaega koi aur naya mere baad
tu jafaon se jo badnam kiye jata hai
yaad aaegi tujhe meri wafa mere baad
koi shikwa ho sitamgar to zahir kar de
phir na karna tu kabhi koi gila mere baad
ibrat-angez hai afsana mere marne ka
ruk gae hain qadam-e-umr-e-baqa mere baad
zamzame KHana-e-sayyaad ke kyun gunjte hain
kya koi taza giraftar hua mere baad
sar ke bal ishq ki manzil ko kiya tai main ne
nahin milte jo nishan-e-kaf-e-pa mere baad
'sabir'-e-KHasta ko har haal mein ya rab rakh shad
kahin aisa na ho ho sabr fana mere baad
Ghazal
Hai jo KHamosh but-e-hosh-ruba mere baad
Fazal Husain Sabir