hai jo darwesh wo sultan hai ye malum hua
boriya taKHt-e-sulaiman hai ye malum hua
dil-e-agah pasheman hai ye malum hua
ilm KHud jahl ka irfan hai ye malum hua
apne hi wahime ke sab hain utar aur chaDhaw
na samundar hai na tufan hai ye malum hua
DhunDne nikle the jamiyat-e-KHatir lekin
shahr ka shahr pareshan hai ye malum hua
hum ne aabaadi-e-alam pe nazar jab Dali
dil ki duniya abhi viran hai ye malum hua
inqalab aap hi duniya mein nahin aate hain
wo nazar silsila jumban hai ye malum hua
baadshahi bhi nazar aati hai muhtaj-e-KHiraj
taj kashkol-e-gada yan hai ye malum hua
un ke qadmon pe jo gir jae wahi qatra-e-ashk
hasil-e-dida-e-giryan hai ye malum hua
un ki nazron pe jo chaDh jae wahi zarra-e-KHak
surma-e-chashm-e-ghazalan hai ye malum hua
un ke dar tak jo pahunch jae wahi aabla-pa
rahbar-e-qafila-e-jaan hai ye malum hua
aabiyari jo kare KHun-e-rag-e-jaan to 'saba'
dil-e-har-zarra gulistan hai ye malum hua
Ghazal
Hai jo darwesh wo sultan hai ye malum hua
Saba Akbarabadi