hai jo bigDi hui surat meri bimari ki
pyar mein mujh se kisi shaKHs ne ghaddari ki
har taraf KHun-KHaraba kiya logon ne bapa
sher taKHliq kiye main ne ghazal jari ki
har-nafas sine mein patthar ki tarah lagta hai
zindagi mujh pe sitam-kesh ne yun bhaari ki
ye alag baat ki har lahza pareshan main hun
main ne sachchai ki is par bhi taraf-dari ki
main ne har bar haqiqat ki nazar se dekha
us ne har bar mere sath adakari ki
phul ki misl mahak uTThega qarya qarya
apne is des ki jab hum ne kaman-dari ki
qafile walon ko manzil na mili barson se
ye bhi KHubi hai teri qafila-salari ki
zindagi apne bharose pe guzari main ne
waris-e-taKHt ne kab meri nigah-dari ki
is se badlega mere shahr ka sara manzar
lahar jo uTThi mere shahr mein bedari ki
rashk aata hai hamein apne muqaddar pe 'nabil'
aal-e-ahmad ki sada hum ne aza-dari ki
Ghazal
Hai jo bigDi hui surat meri bimari ki
Nabeel Ahmad Nabeel