hai jo bhi jaza saza ata ho
hona hai jo aaj barmala ho
us din bhi jo sar pe dhup chamki
jis din pe bahut farefta ho
us raat bhi nind agar na aai
jis raat pe is qadar fida ho
rangon mein wahi to rang nikla
jo teri nazar mein jach gaya ho
phulon mein wahi to phul Thahra
jo tere salam ko khila ho
ek shaKHs KHuda bana hua hai
kya ho jo yahi mera KHuda ho
saugand mujhe ghazal ki 'gauhar'
main ne jo zaban se kuchh kaha ho
Ghazal
Hai jo bhi jaza saza ata ho
Gauhar Hoshiyarpuri