hai jitna zarf mera itna hi sila dena
na aur kuchh tu umidon ka silsila dena
meri to arz-e-tamanna hai qadre pechida
jawab dena ho mushkil to muskura dena
kisi gharib ki dil-jui bhi ibaadat hai
hai nek kaam kisi rote ko hansa dena
kuchh is qadar hui kamzor Dor rishton ki
hai ek moajiza TuTe sire mila dena
tumhaara farz hai haalat-e-hazira pe 'asar'
ghazal ke sheron mein ek tabsira suna dena

Ghazal
Hai jitna zarf mera itna hi sila dena
Marghoob Asar Fatmi