hai jab se dast-e-yar mein saghar sharab ka
kauDe ka ho gaya hai kaTora gulab ka
sayyaad ne tasalli-e-bulbul ke waste
kunj-e-qafas mein hauz bhara hai gulab ka
dariya-e-KHun kiya hai teri tegh ne rawan
hasil hua hai rutba saron ko hubab ka
jo satr hai wo gasu-e-hur-e-bahisht hai
KHal-e-pari hai nuqta hamari kitab ka
nau aasman hain safha-e-awwal ke nau lughat
kaunain ek do warqa hai apni kitab ka
ai mauj be-lihaz samajh kar miTaiyo
dariya bhi hai asir tilism-e-hubab ka
bichhwaiye na chandni mein baam par palang
manhus hai qiran mah o aaftab ka
ek tark shahsawar ki diwani ruh hai
zanjir mein hamare ho loha rikab ka
husn-o-jamal se hai zamane mein raushni
shab mahtab ki hai to roz aaftab ka
allah-re hamara takalluf shab-e-visal
roghan ke badle itr jalaya gulab ka
masjid se mai-kade mein mujhe nashsha le gaya
mauj-e-sharab jada thi rah-e-sawab ka
insaf se wo zamzama mera agar sune
dam band howe tuti-e-hazir-jawab ka
ulfat jo zulf se hai dil-e-dagh-dar ko
taus ko ye ishq na hoga sahab ka
mamur jo hua araq-e-ruKH se wo zaqan
mazmun mil gaya mujhe chah-e-gulab ka
pata hun naf ka kamar-e-yar mein maqam
chashma magar adam mein hai gauhar ki aab ka
'atish' shab-e-firaq mein puchhunga mah se
ye dagh hai diya hua kis aaftab ka
Ghazal
Hai jab se dast-e-yar mein saghar sharab ka
Haidar Ali Aatish