اردو हिंदी
Hai jaan-e-hazin ek lab-e-ruh-faza do | Shaahi Shayari
hai jaan-e-hazin ek lab-e-ruh-faza do

Ghazal

Hai jaan-e-hazin ek lab-e-ruh-faza do

Ismail Merathi

;

hai jaan-e-hazin ek lab-e-ruh-faza do
ai kash ki is ek ki ho jaen dawa do

tha KHar-e-jigar hijr mein tanha gham-e-duri
hain aafat-e-jaan wasl mein ab sharm-o-haya do

mastana-rawish kyun na chale wo nigah-e-naz
aankhen hain ki hain jam-e-mai-e-hosh-ruba do

ji tang hai kya kijiye aur josh-e-bala ye
dil ek hai kya dijiye aur zulf-e-dota do

hai ain inayat jo nishan puchhiye mera
ye bhi nahin manzur to apna hi pata do

kya dam-e-fareb us ne bichhaya hai dil-awez
do aan phansen aur jo ho jaen riha do

gar naz-KHud-ara ko hai yaktai ka dawa
kyun aaina dekha ki hue jalwa-numa do

bebaki-o-shoKHi bhi hai aur sharm-o-haya bhi
do mahram-e-asrar hain to parda-kusha do

do gesu-o-do zulf-e-bala-KHez hain chaaron
han kakul-e-KHamdar bhi hain un ke siwa do

wo tarz-o-rawish hae wo andaz-o-ada haif
kya bachte dil-o-jaan kuja chaar kuja do

seri-e-nazar bhi na hui hae mayassar
aankhen jo huin chaar lage tir-e-qaza do