hai ishq to phir asar bhi hoga
jitna hai idhar udhar bhi hoga
mana ye ki dil hai us ka patthar
patthar mein nihan sharar bhi hoga
hansne de use lahad pe meri
ek din wahi nauhagar bhi hoga
nala mera gar koi shajar hai
ek roz ye barwar bhi hoga
nadan na samajh jahan ko ghar
is ghar se kabhi safar bhi hoga
miTTi ka hi ghar na hoga barbaad
miTTi tere tan ka ghar bhi hoga
zulfon se jo us ki chhaegi raat
chehre se ayan qamar bhi hoga
gali se na Dar jo den wo bosa
hai nafa jahan zarar bhi hoga
rakhta hai jo panw rakh samajh kar
is rah mein nazr sar bhi hoga
us bazm ki aarzu hai bekar
hum sun ka wahan guzar bhi hoga
'shahbaz' mein aib hi nahin kul
ek aadh koi hunar bhi hoga
Ghazal
Hai ishq to phir asar bhi hoga
Sayad Mohammad Abdul Ghafoor Shahbaz