hai irtibaat-shikan daeron mein baT jaana 
chaman ka mauja-e-baad-e-saba se kaT jaana 
kiran ke haq mein ye suraj ka faisla kyun hai 
jo farsh-e-KHak pukare to dur haT jaana 
main par-shikasta na tha baadalon ke bich magar 
meri uDan ka zanjir se lipaT jaana 
ye saz-o-raKHt-e-dil-e-bahra-mand kya shai hai 
tamam bikhre hue dard ka simaT jaana 
ye kaun jhank raha tha daricha-e-shab se 
ajab saman tha ghane baadalon ka chhaT jaana 
kahin pe dast-e-nigarin kahin lab-e-lalin 
wo sote sote meri nind ka uchaT jaana 
miyan-e-rah ajab pur-faza thi gahri jhil 
main Dub jata ki achchha hua palaT jaana
        Ghazal
Hai irtibaat-shikan daeron mein baT jaana
Syed Amin Ashraf

