hai iKHtiyar mein tere na mere bas mein hai
wo ek lamha jo auron ki dastaras mein hai
wo munh se kuchh nahin kahta ki pesh-o-pas mein hai
badan ka karb to zahir nafas nafas mein hai
agarche shor bahut kucha-e-hawas mein hai
wo kya kare ki jo chaaliswen baras mein hai
karega kaun use sazish-e-badan mein sharik
jo shaKHs qaid abhi ruh ke qafas mein hai
uTho ki phir hamein izn-e-safar mile na mile
abhi to lutf-e-sada nala-e-jaras mein hai
use pasand ki wo TuT kar gira warna
shajar mein kya nahin hota jo KHar-o-KHas mein hai
Ghazal
Hai iKHtiyar mein tere na mere bas mein hai
Prem Kumar Nazar