hai iKHtilaf zaruri tumhein pata nahin hai
charagh kaise jalega jahan hawa nahin hai
tumhaare hath chhuDane se ruk gaya hai safar
ye dhup chhanw musafir ka masala nahin hai
tumhaare jaane se be-lutf ho gai har shai
ki zahar kha ke bhi dekha hai zaiqa nahin hai
main DhunD laya hun jab us ke jaisa duja shaKHs
so ab wo kahne laga mujh sa tisra nahin hai
zaman makan mein kahin hoga DhunD lunga use
mujhe bas itna bata do ki wo KHuda nahin hai
Ghazal
Hai iKHtilaf zaruri tumhein pata nahin hai
Waqas Aziz