hai ek gham-e-jahan to gham-e-yar kam nahin
is muKHtasar si umr mein aazar kam nahin
pahle ki tarah ab wo kahan nikhat-e-chaman
garche ki rang-e-ghuncha-e-gulzar kam nahin
anqa hai ab KHulus ki napaid hai wafa
duniya mein go ki husn ke bazar kam nahin
qimat to apni jins-e-wafa ki laga ke dekh
hum bhi dikhaen zarf-e-KHaridar kam nahin
ek bar dard-e-dil ka masiha to ban ke dekh
hum ibtila-e-ishq ke bimar kam nahin
behtar hai bazm-e-yar mein KHamosh hi rahen
kahne ko raaz-e-jaan dar-o-diwar kam nahin
ab kyun nahin hai tera wo tarz-e-bayan 'haqir'
haalanki teri sarwat-e-afkar kam nahin

Ghazal
Hai ek gham-e-jahan to gham-e-yar kam nahin
Haqeer Jahani