hai id lao mai-e-lala-fam uTh uTh kar
gale lagate hain shishon ko jam uTh uTh kar
hawa chali meri uftadgi ki ai saqi
girenge nashshe mein sab KHush-KHiram uTh uTh kar
zamin-o-arsh-o-falak paemal hote hain
na jao sahn se baala-e-baam uTh uTh kar
koi bashar na ho maghrur jism-e-KHaki par
ki baiThte hain bahut qasr-e-KHam uTh uTh kar
dam-e-sahar nazar aaya hai kis ka munh yarab
sanam jo karte hain mujh ko salam uTh uTh kar
zara uThaiye tabut apne aashiq ka
KHuda ki rah ka karte hain kaam uTh uTh kar
qayamat aai hai halchal hai aasmanon par
na phiriye bahr-e-KHuda baam baam uTh uTh kar
paDe hain panw ki surat zaban mein ghaTTe
ye qasidon ko diye hain payam uTh uTh kar
banegi shoala-e-jawwala gardish-e-qismat
tumhaare gird phirega ghulam uTh uTh kar
baDhegi baat na baiThenge chupke hum ai but
raqib se jo karoge kalam uTh uTh kar
rahegi aashiqon ke dast-o-pa mein jab tak his
tumhaari lenge balaen mudam uTh uTh kar
KHuda biThae agar karbala mein mujh ko 'munir'
phirun main gird-e-mazar-e-imam uTh uTh kar
Ghazal
Hai id lao mai-e-lala-fam uTh uTh kar
Muneer Shikohabadi