hai guzar arsh-e-barin tak nala-e-shab-gir ka
dekhiye to silsila TuTi hui zanjir ka
bar-e-sar se mujh ko ai qatil subuk-doshi hui
hai meri gardan pe ye ehsan teri shamshir ka
dekh kar un ko mujhe sakta hai wo KHamosh hain
samna hai aaj ek taswir se taswir ka
sath mein us ke nikal aaya hai kya mera jigar
dekhte hain kis liye paikan wo apne tir ka
ki buton ke dar pe main ne jubba-sai umr-bhar
par miTa ab tak na wo likkha hua taqdir ka
naqsh se bahzad bhi hairan hai misl-e-aina
ai pari-paikar wo aalam hai teri taswir ka
ghair ke pahlu mein ai 'shoala' nahin un ko qarar
hai asar itna hamari aah-e-pur-tasir ka
Ghazal
Hai guzar arsh-e-barin tak nala-e-shab-gir ka
Shola Kararvi