hai garm mulkon ka suraj tere jalal ki gard
ghurur-e-kahkashan hai tere jamal ki gard
mohabbaton ke KHarabon mein dhup kam nikli
kabhi judai ke kohre kabhi malal ki gard
kabhi to guzre udhar se bhi karwan-e-bahaar
kabhi to pahunche yahan bhi tere KHayal ki gard
hamare baalon pe mausam hai barf-bari ka
hamare chehre pe uDti hai mah-o-sal ki gard
tamam aalam-e-imkan hai ek KHayal mein gum
na pa sakega zamana kabhi KHayal ki gard
Ghazal
Hai garm mulkon ka suraj tere jalal ki gard
Khatir Ghaznavi