hai ghanimat ye fareb-e-shab-e-wada ai dil
kya koi dega tujhe is se ziyaada ai dil
muddaton jaan chhiDakte rahe jis lams pe wo
oDh kar aa gaya KHushbu ka labaada ai dil
soch zanjir-ba-pa fikr hai paband-e-rasan
kya yahi subh-e-tamanna ka hai jada ai dil
ab bhi raushan kiye baiTha hai ummidon ke charagh
kitna masum hai tu kitna hai sada ai dil
KHun mein luThDe hue lashe hain nuqush-e-kaf-e-pa
aur kar manzil-e-jaanan ka irada ai dil
KHud-farebi ka fusun tujh pe hai kari warna
kam nahin hai shab-e-gham se shab-e-wada ai dil
Ghazal
Hai ghanimat ye fareb-e-shab-e-wada ai dil
Raza Hamdani