اردو हिंदी
Hai fana bismillah-e-diwan-e-ishq | Shaahi Shayari
hai fana bismillah-e-diwan-e-ishq

Ghazal

Hai fana bismillah-e-diwan-e-ishq

Shah Aasim

;

hai fana bismillah-e-diwan-e-ishq
aafrinha bar-sabaq KHwanan-e-ishq

zohra-e-dozaKH hai aage us ke aab
al-aman az aatish-e-sozan-e-ishq

hai riha qaid-e-gham-e-kaunain se
pa-e-ta-sar qaidi-e-zindan-e-ishq

tang rakhta hai dawa ke nam se
mubtala-e-dard be-darman-e-ishq

KHun-e-dil pita hai aur hai jaanta
nemat-e-uzma use mehman-e-ishq

ghaur kar dekha to haft aqlim mein
hukmaran hai be-guman sultan-e-ishq

kashti-e-gardun sarapa Dub jae
josh mein aawe agar tufan-e-ishq

bande ko maula banata hai mudam
kis qadar hai ye ayan ehsan-e-ishq

bhul jawe zohd-o-taqwa zahida
gar kare tu sair-e-kufristan-e-ishq

faiz se 'asim' shah-e-KHadim ke hai
sair mein apni bahaaristan-e-ishq