hai dushmanon se bhi wabasta husn-e-zan mera
yahi kamal hai mujh mein yahi hai fan mera
main mausamon ke taghayyur se kanp uThta hun
bhari bahaar mein ujDa tha kal chaman mera
main dasht chhoD ke aaya hun ai nagar walo
ki lagte lagte lagega yahan pe man mera
hai itni bhuk mere warison ko wirse ki
KHarid lae mere jite-ji kafan mera
usi ne ek naya zaKHm de ke chhoD diya
ki dastiyab jise bhi hua badan mera
tamam shahr hi naqqad ho gaya 'adil'
parakh rahe hain kasauTi pe sab suKHan mera
Ghazal
Hai dushmanon se bhi wabasta husn-e-zan mera
Kamran Adil