hai dukan-e-shauq bhari hui koi mehrban ho to le ke aa
zar dagh-e-dil ka sawal hai koi naqd-e-jaan ho to le ke aa
rahi ye faza to jiyenge kya koi ab bina-e-digar uTha
koi ho zamin to nikal use koi aasman ho to le ke aa
jo ho zauq-e-dard ka ye saman to uchhaal de koi aasman
tere dagh-e-dil mah-o-mehr mein kahin kahkashan ho to le ke aa
ye hai sham mausam-e-dard ki ye hai subh chehra-e-zard ki
hai bahaar par gham-e-zindagi koi dil-KHizan ho to le ke aa
ye safar hai manzil-e-shauq ka koi ham-safar koi ham-rahi
kisi dil-shikasta ko sath le koi sargiran ho to le ke aa
yunhi apne aap se guftugu jo rahi to phir na rahega tu
koi ham-KHayal talash kar koi ham-zaban ho to le ke aa
zara KHud se 'baqar'-e-be-nawa tu nikal ki tai ho moamla
inhen mil ye log hain ahl-e-dil gham-e-raegan ho to le ke aa

Ghazal
Hai dukan-e-shauq bhari hui koi mehrban ho to le ke aa
Sajjad Baqar Rizvi