hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahin
mere naghmat ko andaz-e-nawa yaad nahin
main ne palkon se dar-e-yar pe dastak di hai
main wo sail hun jise koi sada yaad nahin
main ne jin ke liye rahon mein bichhaya tha lahu
hum se kahte hain wahi ahd-e-wafa yaad nahin
kaise bhar aain sar-e-sham kisi ki aankhen
kaise tharrai charaghon ki ziya yaad nahin
sirf dhundlae sitaron ki chamak dekhi hai
kab hua kaun hua kis se KHafa yaad nahin
zindagi jabr-e-musalsal ki tarah kaTi hai
jaane kis jurm ki pai hai saza yaad nahin
aao ek sajda karen aalam-e-madhoshi mein
log kahte hain ki 'saghar' ko KHuda yaad nahin
Ghazal
Hai dua yaad magar harf-e-dua yaad nahin
Saghar Siddiqui