اردو हिंदी
Hai dil mein ghubar uske ghar apna na karenge | Shaahi Shayari
hai dil mein ghubar uske ghar apna na karenge

Ghazal

Hai dil mein ghubar uske ghar apna na karenge

Momin Khan Momin

;

hai dil mein ghubar us ke ghar apna na karenge
hum KHak mein milne ki tamanna na karenge

kyunkar ye kahen minnat-e-ada na karenge
kya kya na kiya ishq mein kya kya na karenge

hans hans ke wo mujh se hi mere qatl ki baaten
is tarah se karte hain ki goya na karenge

kya name mein likkhun dil-e-wabasta ka ahwal
malum hai pahle hi ki wo wa na karenge

ghairon se shakar-lab suKHan-e-talKH bhi tera
har chand halahil ho gawara na karenge

bimar-e-ajal-chaara ko gar hazrat-e-isa
achchha bhi karenge to kuchh achchha na karenge

jhunjhlate ho kya dijiye ek bosa dahan ka
ho jaenge lab band to ghaugha na karenge

diwar ke gir paDte hi uThne lage tufan
ab baiTh ke kone mein bhi roya na karenge

gar samne us ke bhi gire ashk to dil se
kyun roz-e-jaza KHun ka dawa na karenge

kis waqt kiya mardumak-e-chashm ka shikwa
ai parda-nashin hum tujhe ruswa na karenge

naseh kaf-e-afsos na mal chal tujhe kya kaam
pamal karenge wo mujhe ya na karenge

us ku mein Thaharne na diya josh-e-qalaq ne
aghyar se hum shikwa-e-beja na karenge

gar zikr-e-wafa se yahi ghussa hai to ab se
go qatl ka wada ho taqaza na karenge

'momin' wo ghazal kahte hain ab jis se ye mazmun
khul jae ki tark-e-dar-e-but-KHana karenge