hai dil ko is tarah se mere yar ki talash
jis tarah thi kalim ko didar ki talash
hon rind sar khula bhi jo howe to Dar nahin
zahid nahin ki mujh ko ho dastar ki talash
main hun kahin pa aaThon pahar hai usi ki fikr
jati nahin hai dil se mere yar ki talash
dil hathon-hath bik gaya bazar-e-ishq mein
karni paDi na mujh ko KHaridar ki talash
apne hi dil mein DhunDhna lazim tha yar ko
itne dinon jo ki bhi to be-kar ki talash
baiana naqd-e-jaan karo 'sayyah' pesh-kash
rahti hai un ko aaise KHaridar ki talash
Ghazal
Hai dil ko is tarah se mere yar ki talash
Miyan dad Khan Sayyah