hai dil-e-nakaam-e-ashiq mein tumhaari yaad bhi
ye bhi kya ghar hai ki hai barbaad bhi aabaad bhi
dil ke miTne ka mujhe kuchh aur aisa gham nahin
han magar itna ki hai is mein tumhaari yaad bhi
kis ko ye samjhaiye nairang-e-kar-e-ashiqi
tham gae ashk-e-musalsal ruk gai fariyaad bhi
sine mein dard-e-mohabbat raaz ban kar rah gaya
ab wo haalat hai ki kar sakte nahin fariyaad bhi
phaD Dalunga gareban phoD lunga apna sar
hai mere aafat-kade mein qais bhi farhad bhi
kuchh to 'asghar' mujh mein hai qaim hai jis se zindagi
jaan bhi kahte hain us ko aur un ki yaad bhi
Ghazal
Hai dil-e-nakaam-e-ashiq mein tumhaari yaad bhi
Asghar Gondvi