hai dhup kabhi saya shoala hai kabhi shabnam
lagta hai mujhe tum sa dil ka to har ek mausam
bite hue lamhon ki KHushbu hai mere ghar mein
book-rack pe rakkhe hain yaadon ke kai album
kamre mein paDe tanha aasab ko kyun toDo
niklo to zara bahar deta hai sada mausam
kis darja mushabah ho tum 'mir' ki ghazlon se
lahje ki wahi narmi baaton ka wahi aalam
sahil ka sukun tum lo main mauj-e-KHatar le lun
yun waqt ke dariya ko taqsim karen baham
Ghazal
Hai dhup kabhi saya shoala hai kabhi shabnam
Zubair Rizvi