hai dhup-chhanw ki manind zindagi meri
sabaat-e-gham ko nahin aarzi KHushi meri
usi ko ab meri har baat zahr lagti hai
kabhi pasand na thi jis ko KHamushi meri
teri nazar ka sahaara baDa sahaara tha
jahan mein kar na saka koi hamsari meri
kabhi gunah kabhi hasrat-e-gunah ka gham
tamam karb-e-musalsal hai zindagi meri
main dil ka haal usi ko sunata rahta hun
chhupi na jis se koi baat an-kahi meri
main misl-e-kirmak shab-tab jalta rahta hun
kisi ke kaam to aaegi raushni meri
jo mere KHadsha-e-farda pe KHanda-zan hain 'KHalish'
meri dua hai mile un ko aa gai meri
Ghazal
Hai dhup-chhanw ki manind zindagi meri
Khalish Kalkatvi