hai dard mein Dubi hui tahrir ki aawaz
wijdan ko chhu leti hai taswir ki aawaz
tanhai mein aankhon se nikal aate hain aansu
goya hai faza mein kisi dil-gir ki aawaz
diwana-e-hasti ke liye ek hain donon
pazeb ki jhankar ki shamshir ki aawaz
yaad aaya hai jab saneha zindan-e-bala ka
ubhri dar-o-diwar se zanjir ki aawaz
lag jati hai jab rah-e-pur-asrar mein Thokar
hum us ko samajh lete hain taqdir ki aawaz
taKHrib-pasandon ne wo tufan uThaya
is shor mein kho jae na tamir ki aawaz
naghmon ka asar hota hai arbab-e-tarab par
'nazir' ko rula deti hai zanjir ki aawaz
Ghazal
Hai dard mein Dubi hui tahrir ki aawaz
Nazir Al-Husaini