hai dagh dagh mera dil magar malul nahin
tamam umr ka rona mujhe qubul nahin
wo guftugu jo nigahon se hoti rahti hai
hadis-e-nargis-e-mastana hai fuzul nahin
bahut se phul hain daman mein aap ke lekin
jise hum apna kahen aisa koi phul nahin
wo ek but jise kahte hain shahkar-e-jamil
sanam-kade ka KHuda hai magar rasul nahin
suragh-e-jada-e-manzil jo de gaya hai 'farid'
hina ka rang hai wo raste ki dhul nahin
Ghazal
Hai dagh dagh mera dil magar malul nahin
Fareed Ishrati