hai be-KHud wasl mein dil hijr mein muztar siwa hoga
KHushi jis ghar ki aisi hai wahan ka ranj kya hoga
abhi to yar se kahne ki dil mein baaten hain lakhon
na kuchh yaad aaega us waqt jis dam samna hoga
mere madfan ki miTTi ka wo khichwaenge itr aksar
agar bu-e-wafa ka un ke dil mein kuchh maza hoga
wo gesu baDhte jate hain balaen hoti hain nazil
qadam tak aa gae jab hashr aalam mein bapa hoga
ghazab karte ho mere dil ko abru se chhuDate ho
bhala samjho to kyunkar gosht naKHun se juda hoga
adam mein mera kya kya dam rukega ek muddat tak
nai basti nai poshak hogi ghar naya hoga
utara KHun ke dariya se hoga sarfaroshon ka
banegi tegh kashti aur qatil naKHuda hoga
bayan tha roz-e-awwal ye mere dil ki udasi ka
baDi us ghar ki aabaadi ye hai matam-sara hoga
KHabar le baghban hai kis ghazab ka habs gulshan mein
hawa hai band asiran-e-qafas ka dam ruka hoga
mere sine se dil ke TuTne ki kyun sada aai
magar yan hath se saqi ke shisha gir paDa hoga
sitamgar aaega aksar KHabar lene ko zindan mein
hamein wo beDiyan pahna ke paband-e-wafa hoga
raqibon ki umidon ko jagah dete hain dil mein hum
ki un mein se koi aaKHir hamara muddaa hoga
nahin hai jis mein tera ishq wo dil hai tabahi mein
wo kashti Dub jaegi na jis mein naKHuda hoga
'rashid' ulfat se jab waqif na the aksar ye kahte the
na dil se hum juda honge na hum se dil juda hoga
Ghazal
Hai be-KHud wasl mein dil hijr mein muztar siwa hoga
Rasheed lakhnavi