hai be-asar aisi hi jo apni kashish-e-dil 
ji le hi ke chhoDegi ye ek din KHalish-e-dil 
tha mu mujhe aamad mein koi us ki ki nagah 
le jae na ghar se kahin bahar tapish-e-dil 
zahrab o halahil se jo kuchh kaam na nikla 
de kar ke main ki KHun-e-jigar parwarish-e-dil 
kis tarah koi guzre teri rah se ki pyare 
har gam pe is kuche mein hai chapqalish-e-dil 
kya naqsh ki KHatir se hue mujh ko magar ek 
har naqsh tera aaTh pahar muntaqish-e-dil 
hathon se dil o dida ke aaya hun nipaT tang 
aankhon ko roun ya main karun sarzanish-e-dil 
dijo na ise us but-e-bebak ko 'qaem' 
zinhaar ki nazuk hai nihayat tapish-e-dil
        Ghazal
Hai be-asar aisi hi jo apni kashish-e-dil
Qayem Chandpuri

