hai bahut mushkil nikalna shahr ke bazar mein
jab se jakDa hun main kamre ke dar-o-diwar mein
chhe baras ke baad ek sune makan ke baam-o-dar
bas gae hain phir kisi ke jism ki mahkar mein
mujh ko apne jism se bahar nikalna chahiye
warna mera dam ghuTega is andhere ghaar mein
yaad use ek pal bhi karne ki mujhe fursat nahin
mubtala sadiyon se mera dil hai jis ke pyar mein
dekhte hain log jab 'KHawar' purani aankh se
kya nazar aae koi KHubi nae fankar mein
Ghazal
Hai bahut mushkil nikalna shahr ke bazar mein
Badiuzzama Khawar