hai bahut andhiyar ab suraj nikalna chahiye
jis tarah se bhi ho ye mausam badalna chahiye
roz jo chehre badalte hain libason ki tarah
ab janaza zor se un ka nikalna chahiye
ab bhi kuchh logo ne bechi hai na apni aatma
ye patan ka silsila kuchh aur chalna chahiye
phul ban kar jo jiya hai wo yahan masla gaya
zist ko faulad ke sanche mein Dhalna chahiye
chhinta ho jab tumhaara haq koi us waqt to
aankh se aansu nahin shoala nikalna chahiye
dil jawan sapne jawan mausam jawan shab bhi jawan
tujh ko mujh se is samay sune mein milna chahiye
Ghazal
Hai bahut andhiyar ab suraj nikalna chahiye
Gopaldas Neeraj