hai bad bala kisi ko gham-e-jawedan na ho
ya hum na hon jahan mein KHuda ya jahan na ho
aain-e-ahl-e-ishq kahan aur hum kahan
ai aah shola-bar na ho KHun-chakan na ho
fel-e-hakim ain salah o sawab hai
saqi agar sharab na de sargiran na ho
tadbir tark-e-dushman-e-jaan ki hai raat din
kis tarah phir mujhe gila-e-dostan na ho
kya wo mata'a jis ki na ho koi ghat mein
Darta hun main jo duzd pas-e-karwan na ho
jab tak farogh-e-mai se na ho sina nur-zar
hargiz harif-e-mai-kada asrar-dan na ho
lazim hai yar bhi to ho betab warna kya
wo ishq hai ki ranj yahan ho wahan na ho
nahaq wo ji jalate hain sauda-e-ishq par
jin ko ye soch hai ki kuchh is mein ziyan na ho
hum bu-e-dost tujh ko sunghaenge 'shefta'
mahw-e-shamim turra-e-ambar-fishan na ho
Ghazal
Hai bad bala kisi ko gham-e-jawedan na ho
Shefta Mustafa Khan